Monday, 15 October 2012

Woh Sirf Maa Hai...

This is my first blog post and I want to dedicate it to all the beautiful, lovely, and caring mothers who leave no stone unturned to put their children on the right track, who can handle both Protagonist and Antagonist roles very well just to mold and give better shapes  to their children’s  life...

Labon pe jiske ho har hamesha duwa apne bacchon ke liye…
Woh Sirf Maa Hai…
Bhulay jo apne sajne-dhajne ko apne bachon ki zindagi sawarne ke liye…
Woh Sirf Maa Hai…
Daray na jo khud ke jalne ko apne bachon ki zindagi me kamiyaabi ki shamma jalane ke liye…
Woh Sirf Maa Hai…
Bina kahe jo samjhe apne bacchon ki har pareshaniyon ko…
Woh Sirf Maa Hai…
Rakhe jo dil ke khareeb aashiyana banakar har hamesha apne bacchon ko…
Woh Sirf Maa Hai…
In lafzon ki haisiyath hi kya jo kar sake bayan Maa ki fazeelath ko…
Tu dikhani hai soorath apni Khuda ko…
Rakhna hai Khush hamesha apni Maa ko… :-)

No comments:

Post a Comment